Saturday, 16 July 2011


zindagi par kitab likhun ga
us main saaray hisaab likhun ga

pyaar ko waqt guzaari likh kar
chahton ko azaab likhun ga

huwi barbaad mohabbat kaisay
kaisay bikhray khwaab likhun ga

apni khwahish ka tazkara kar k
uss ka chehra gulaab likhun ga

main us sy judai ka sabab kyun puchun?
apni qismat kharaab likhun ga

2 comments: