Saturday, 16 July 2011

poetry





ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujh pe gire aur zakhm aye mujhe

wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe

main apne paaon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe

main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe

wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daghaa kare wo kisi se to sharm aye mujhe

main apni zat mein nilam ho raha hun Qateel
gham e hayat se keh do khareed laye mujhe....

No comments:

Post a Comment