Saturday, 23 July 2011


Yeh tairi jheel see ankhoon mein rut'jagoon kay bhanwar

yeah tairay phool say chehray pay chandini ke phawar

Yeah tairay lab yeh diyaar e yuman kay surkh aqeeq
Yeh aainay see jabeeen, sajda'gah e layal o nehaar


...

Yeah bay'nayaaz ghanay jungloon say baal tairay

Yeah phoolti hoi sarsoon ka aks galoon par

Yeah dharkanoon ke zubaan boltay howay abroo
Kamand daal rahay hain mairay khayaloon par



Yeah naram naram say hathoon ka garam garam lamas

Gudaaz jisam pay baloor tehoon ka samaan!

Yeah ungliyaan, yeah zumurad tarashee shakhain!
Kiran kiran tairay dantoon pay motiyoon ka gumaan



Yeah chandini mein dhullay paoon jab bhi ruqs karain

Fiza mein un ginay ghungroo chanaknay lagtay hain

Yeah paoon jab kissi rastay mein rung barsayain
Tu mousmoon kay muqadar chamaknay lagtay hain



Tairi jabeen pay agar hadson kay naqas ubhrain

Mizaaj gardish e doraan bhi larkharaa jaye

Tu muskuraye tu subhain tujhay salaam karain
Tu ro paray tu zamanay ke ankh bhar aye



Taira khayaal hai khushboo, taira libaas kiran!

Tu khaak zaad hai ya asmaan say utree hai ?

Mein tujh ko daikh kay khud say sawaal karta hoon
Yeah mouj e rung zameen par kahaan say utaree hai ?



Mein kis tarhaan tujhay lafzoon ka payrhan bakhshoon ?

Mairay hunar ke bulandi tu sar'nagoon hai abhi

Tairay badan kay khud o khaal mairay bus mein nahi
Mein kis tarhaan tujhay sochoon, yeahi junoon hai abhi



Milay hain youn tu kaye rung kay haseen chehray!

Mein bay'nayaaz raha mouj e saba ke tarhaan !!

Tairi qasam tairi qurbat kay mousmoon kay baghair
Zameen pay mein bhi akayla phir khuda ke tarhaan



Magar mein shehar e hawadis kay sung zadoon say

Yeah Aaina saa badan kis tarhaan bachaoon ga ?

Mujhay yeah dar hai kissi roz tairay kurb samait
Mein khud bhi dukh kay samandar mein doob jaoon ga!



Mujhay yeah dar hai kay tairay tabasumoon ke phuwaar

Younhi wafa ka taqaza, haya ka toor na hooo ?

Taira badan, tairi duniya hai muntazir jiss ke,
Mein sochta hoon mairi jaan woh koi "Aur" na ho

No comments:

Post a Comment