Thursday, 28 July 2011

Tere Gale Mein Jo Baahon,,,,,,


Tere Gale Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Manane Ka Kaisa
Kamaal Rakhte Hain


Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne Ki Khatir
Hum
Bahut Se Kaam MuQaddar Pe Taal Rakhte Hain


Koi Bhi
Faisla Hum Soch Kar Nahin Karte
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhal Rakthe
Hain


Tumhare Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni
Bikharte
Sookhte Patte Sambhal Rakhte Hain


Khushi Si Milti Hai Khudko
Aziyatein De Kar
So Jaan Bujh Ke Dilko Nidhaal Rakhte Hain


Kabhi
Kabhi Wo Mujhe Hans Ke Dekh Lete Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayal
Rakhte Hain


Tumhare Hijr Mein Ye Haal Hogaya Apna
Kisika
Khat Ho Usse Bhi Sambhal Rakhte Hain


Khushi Mile Toh Tere
Baad Khush Nahin Hote
Hum Apni Aankh Mein Har Dal Malaal Rakhte Hain


Zamane
Bhar Se Bacha Kar Wo Apni Panaah Mein
Mere Wajood Ke Tukde Sambhal
Rakhte Hain


Kuch Iss Liye Bhi Toh Behaal Ho Gaye Hum Log
Tumhari
Yaad Ka Behad Khayal Rakhte Hain

No comments:

Post a Comment